फिसलती कलम से तुर्को के बारे में मौलाना आज़ाद के विचार

Turk Cast in India
Turk History
Islam k unnayak k taur par turkon ko kendra me rakhkar vikhyat lekhako itihaskaro evam rachnakaro dwara samay samay par likha jata raha he jese:

Maulana Abulkalam Azad ne apni kitab " Masla e khilafat " me turko k bare me evam islam k pirchar va pirsar me turko k yogdan k bare me page 208 sai 212 tak iss tarah likha hai:

"haqeeqat me turko ka ye vo azimusshan karnama hai jiski nazeer musalmano ki koyi hukmaran qaum pesh nahi kar saki. Sirf Misr me Salahuddin Ayyubi isse mustasna (apwad) hai jisne tamam Europe k muttahida (sanyukt) masihi jihad ko shikast di. Taham (halanke) vo bhi ek mehdood (nishchit) zamane ka difa-a (bachao) thha.

Musalsil teen char sadiyo tak sirf turko hi ki islami madafiyat (pirbhutv) qayam rahi hai. In poori char sadiyo me tamam rooye zameen k musalman apne sab se bare qaumi farz sai door rahe. Kisi qaum ne ek zakhm bhi iss muqaddas raah me nahi khaya. Kisi baadshah nai ek qadam bhi iske liye nahi barhaya sirf tan e tanha turk hi duniya bhar k musalmano ki jaanib sai ye poora kaam anjam dete rahe. Unhone tamam duniya k musalmano ko aish o rahat k bistaro par chhor diya, khud apne liye khak o khoon ki raah pasand ki.

Tamam duniya k musalmano par turko ka  ye vo ehsaan e azeem hai k agar iske muavze mai musalmanan e alam apna sabkuchh un par qurban kar den tabbhi unke baar e ehsaan (ehsaan k bojhh) se subukdosh (mukt) nahi ho sakte. Agar guzishta (poorv) sadiyo me musalmano ne baadshahate ki he tau sirf unhi ki badaulat or aaj baadshahate khokar bhi kuchh na kuchh izzat ki poonji apne saathh rakhte he tau sirf unhi ki badaulat. Musalman duniya k kisi bhi hisse me basta ho, China me ho ya Africa k kisi goshe me, lekin sadiyo sai uski qaumi zindgi izzat, aish o araam, vo sab kuchh jo ek qaum k liye hai or ho sakta hai k sirf turko k hi tufail se he or unhi ka bakhsha hua hai.

Bohut mumkin he kisi doosre hisse k musalmano ne turko sai ziyada namaze parhi ho, namaz k qayam ki raah me un se ziyada quraan ki tilawat (paathh) ki ho lekin quraan ki hifazat ki raah me 400 baras sai zakhm unhi k seeno ne khaye he. Lihaza jo Quraan or sunnat par yaqeen rakhte he unhe ye bhi yaqeen karna chaahiye k doosre mulko or qaumo k hazaro aabid o zahid musalmano se turko ka ek gunehgar adnafard bhi Allah k aage kahin ziyada fazeelat rakhta hai.

Jo musalman Europe k maseehi va siyasi asar sai mutassir hokar turkon par aitraz karte hai unko chahiye k pehle apne girebaan me muh daalkar dekhhe k jis avvaleen farz e deeni (param dharmic kartavya k liye) turk 400 baras sai apna khoon bahate rahe he unhone iske liye kya kiya?"

Madhyakaleen Bharat, Delhi Sultanat k lekhak SATEESH CHANDRA k anusar:

Kalantar me 8vi sadi k dauran madhya asia k turko ne islam dharm sweekar kiya thha. Baad ki 4 sadiyo me unki santano ne madhya asia ki islami tehzeeb ko virasat me pirapt kiya jo vikas k ucch istar par pohunch chuki thhi. 13vi sadi me Delhi (me) turk saltanat ki isthhapna k antim charan me bare paimane par khoonrezi or barbadi ka daur chala, parantu samrajya isthhapit hote hi shanti or vikas ki or bhi piryas tez ho gaye. Dharm k chhetra me bhi parasparik samanjasya or mel milap ki pirkirya aarambh huyi, halanke saath me takrao k tatv bhi chalte rahe.

Bharat aane wale turk shasak kisi bhi pirkar sai asabhya evam barbar nahi thhe. Ve na keval soyam ko islam ka rakshak mante thhe balke vastukala, sahitya, shasanpadhhati, vigyan evam proddyogiki aadi sabhi chetro me islam ki samridhh parampara k uttaradhikari hone par garv karte thhe.


Ashkar Husain
Retd. Librarian
Govt. Degree College, Sambhal
Powered by Blogger.